shuur-e-hosh se begana kah diya hota
shu.ūr-e-hosh se begāna kah diyā hotā
zarā sī baat thī dīvāna kah diyā hotā
huī ye ḳhair na dekhā mirī taraf varna
nigāh-e-shauq ne afsāna kah diyā hotā
agar na hotīñ in āñkhoñ kī mastiyāñ maḳhsūs
to aam logoñ ne mai-ḳhāna kah diyā hotā
kahā har ek ne mujh ko tumhārā dīvāna
kabhī to tum ne bhī dīvāna kah diyā hotā
mire sabab se zamāne kā kyuuñ liyā ilzām
hai aadmī koī dīvāna kah diyā hotā
ye vāqi.a hai agar shahr meñ na hote tum
to maiñ ne shahr ko vīrāna kah diyā hotā
na baḌhtī baat mohabbat meñ is qadar 'sā.ib'
jo us ne apnoñ meñ begāna kah diyā hotā
shuur-e-hosh se begana kah diya hota
zara si baat thi diwana kah diya hota
hui ye KHair na dekha meri taraf warna
nigah-e-shauq ne afsana kah diya hota
agar na hotin in aankhon ki mastiyan maKHsus
to aam logon ne mai-KHana kah diya hota
kaha har ek ne mujh ko tumhaara diwana
kabhi to tum ne bhi diwana kah diya hota
mere sabab se zamane ka kyun liya ilzam
hai aadmi koi diwana kah diya hota
ye waqia hai agar shahr mein na hote tum
to main ne shahr ko virana kah diya hota
na baDhti baat mohabbat mein is qadar 'saib'
jo us ne apnon mein begana kah diya hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.