shuur-e-ishq agar fitrat-e-nigah mein hai
shu.ūr-e-ishq agar fitrat-e-nigāh meñ hai
hañsī meñ us kī vahī hai jo merī aah meñ hai
na jaane kaun sī manzil hai merī qismat meñ
na jaane kaun sī manzil abhī bhī raah meñ hai
bas ik mujhī se tujhe kyuuñ hai itnī hamdardī
sunā hai saarā zamāna tirī panāh meñ hai
patā kyuuñ pūchhte rahte ho sab se 'tābish' kā
jo mai-kade meñ nahīñ hai to ḳhānqāh meñ hai
shuur-e-ishq agar fitrat-e-nigah mein hai
hansi mein us ki wahi hai jo meri aah mein hai
na jaane kaun si manzil hai meri qismat mein
na jaane kaun si manzil abhi bhi rah mein hai
bas ek mujhi se tujhe kyun hai itni hamdardi
suna hai sara zamana teri panah mein hai
pata kyun puchhte rahte ho sab se 'tabish' ka
jo mai-kade mein nahin hai to KHanqah mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.