shuur zinda hai mera nazar salamat hai
shu.ūr zinda hai merā nazar salāmat hai
tirī duā kā abhī tak asar salāmat hai
mire paḌos meñ kuchh sang-dil to haiñ lekin
abhī talak mire shīshe kā ghar salāmat he
ye kam nahīñ hai mirī fikr-e-mo'atabar ke liye
qadam qadam yahī raqs-e-sharar salāmat hai
jahāñ ko faḳhr hai tamġhoñ kī jagmagāhaT par
mujhe hai naaz ki merā hunar salāmat hai
muḳhālifoñ kī hai shāyad koī na.ī sāzish
ki mere shānoñ pe merā ye sar salāmat hai
shuur zinda hai mera nazar salamat hai
teri dua ka abhi tak asar salamat hai
mere paDos mein kuchh sang-dil to hain lekin
abhi talak mere shishe ka ghar salamat he
ye kam nahin hai meri fikr-e-mo'atabar ke liye
qadam qadam yahi raqs-e-sharar salamat hai
jahan ko faKHr hai tamghon ki jagmagahaT par
mujhe hai naz ki mera hunar salamat hai
muKHalifon ki hai shayad koi nai sazish
ki mere shanon pe mera ye sar salamat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.