sidha chalne mein dushwari hoti hai
sīdhā chalne meñ dushvārī hotī hai
ḳhālī jeb bhī kitnī bhārī hotī hai
mujhe batāyā baaġh meñ bād-e-sarsar ne
sahrā meñ bhī bād-e-bahārī hotī hai
maiñ vahshat meñ phuul masalne lagtā huuñ
mujh par jab vo ḳhushbū taarī hotī hai
mujh ko aap azā-ḳhāna kah sakte haiñ
jitnī mujh meñ girya-o-zārī hotī hai
sab se pahle vahī nishāna bante haiñ
jin hirnoñ kī aañkh shikārī hotī hai
ye misra to milā hai mujh ko virse meñ
sab se baḌī daulat ḳhuddārī hotī hai
dīvāna 'armān' maiñ un ko māntā huuñ
jin kī sanad sahrā se jaarī hotī hai
sidha chalne mein dushwari hoti hai
KHali jeb bhi kitni bhaari hoti hai
mujhe bataya bagh mein baad-e-sarsar ne
sahra mein bhi baad-e-bahaari hoti hai
main wahshat mein phul masalne lagta hun
mujh par jab wo KHushbu tari hoti hai
mujh ko aap aza-KHana kah sakte hain
jitni mujh mein girya-o-zari hoti hai
sab se pahle wahi nishana bante hain
jin hirnon ki aankh shikari hoti hai
ye misra to mila hai mujh ko wirse mein
sab se baDi daulat KHuddari hoti hai
diwana 'arman' main un ko manta hun
jin ki sanad sahra se jari hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.