sidha sachcha tumhein ai jaan-e-jahan jaane kaun
sidha sachcha tumhein ai jaan-e-jahan jaane kaun
Naseem Bharat Puri
MORE BYNaseem Bharat Puri
sīdhā sachchā tumheñ ai jān-e-jahāñ jaane kaun
dil ko lagtī na ho jo baat use maane kaun
thā abhī to dil-e-betāb mire pahlū meñ
le gayā āñkhoñ hī āñkhoñ meñ ḳhudā jaane kaun
phaaḌ Dālīñ haiñ guloñ ne jo qabā.eñ apnī
baaġh meñ aaj gayā thā ye havā khāne kaun
tum na the mahfil-e-aġhyār meñ sharminda na ho
muñh chhupā.e hue baiThā thā ḳhudā jaane kaun
kūcha-e-yār kabhī tujh se na chhūTegā 'nasīm'
go ye qasmeñ tirī sachchī hoñ magar maane kaun
sidha sachcha tumhein ai jaan-e-jahan jaane kaun
dil ko lagti na ho jo baat use mane kaun
tha abhi to dil-e-betab mere pahlu mein
le gaya aankhon hi aankhon mein KHuda jaane kaun
phaD Dalin hain gulon ne jo qabaen apni
bagh mein aaj gaya tha ye hawa khane kaun
tum na the mahfil-e-aghyar mein sharminda na ho
munh chhupae hue baiTha tha KHuda jaane kaun
kucha-e-yar kabhi tujh se na chhuTega 'nasim'
go ye qasmen teri sachchi hon magar mane kaun
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 153)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.