sikh lo zindagi amar karna
siikh lo zindagī amar karnā
pyaar ke biij ko shajar karnā
kaam ye saḳht hai magar karnā
apnī hastī ko mo'atabar karnā
ruḳh havāoñ kā bhāñp kar karnā
āsmānoñ pe jab safar karnā
ishq gūñgā hai jab-ki ḳhvāhish thī
us kī āvāz pe safar karnā
ek din ġham hameñ sikhā degā
apne alfāz meñ asar karnā
tiir khaa.e haiñ sab kaleje par
ham ne sīkhā nahīñ mafar karnā
nāḳhudā paar bhī utāregā
biich meñ mat agar-magar karnā
siikh jā.eñge ham mohabbat meñ
āñsuoñ meñ guzar basar karnā
raat bhī hai to us kī marzī se
jis ke hāthoñ meñ hai sahar karnā
tiir vāpas kabhī nahīñ aatā
jo bhī karnā vo soch kar karnā
'prem' rahtā hai jis bulandī par
us bulandī ko tum bhī sar karnā
sikh lo zindagi amar karna
pyar ke bij ko shajar karna
kaam ye saKHt hai magar karna
apni hasti ko mo'atabar karna
ruKH hawaon ka bhanp kar karna
aasmanon pe jab safar karna
ishq gunga hai jab-ki KHwahish thi
us ki aawaz pe safar karna
ek din gham hamein sikha dega
apne alfaz mein asar karna
tir khae hain sab kaleje par
hum ne sikha nahin mafar karna
naKHuda par bhi utarega
bich mein mat agar-magar karna
sikh jaenge hum mohabbat mein
aansuon mein guzar basar karna
raat bhi hai to us ki marzi se
jis ke hathon mein hai sahar karna
tir wapas kabhi nahin aata
jo bhi karna wo soch kar karna
'prem' rahta hai jis bulandi par
us bulandi ko tum bhi sar karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.