sikhun ashkon se ba-wazu hona
sīkhūñ ashkoñ se bā-vazū honā
shaiḳh phir jā ke qibla-rū honā
mujh se rakhne lage adāvat sab
raas aayā na surḳh-rū honā
darmiyāñ ranjishoñ kī hai dīvār
kaise mumkin ho guftugū honā
jaane kis gul ke ho muqaddar meñ
apne gulshan kī aabrū honā
kaise ban pā.egā samundar vo
jis kī qismat ho aabjū honā
hai suḳhan se hī azmat-e-shā.ir
kab zarūrī hai ḳhush-gulū honā
'rāg' rakhiye kuchh un se duurī bhī
chāhte haiñ jo dū-badū honā
sikhun ashkon se ba-wazu hona
shaiKH phir ja ke qibla-ru hona
mujh se rakhne lage adawat sab
ras aaya na surKH-ru hona
darmiyan ranjishon ki hai diwar
kaise mumkin ho guftugu hona
jaane kis gul ke ho muqaddar mein
apne gulshan ki aabru hona
kaise ban paega samundar wo
jis ki qismat ho aabju hona
hai suKHan se hi azmat-e-shair
kab zaruri hai KHush-gulu hona
'rag' rakhiye kuchh un se duri bhi
chahte hain jo du-badu hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.