simin-badan hai wo na gul-e-nastaran hai wo
sīmīñ-badan hai vo na gul-e-nastaran hai vo
phir bhī hamāre vāste jān-e-suḳhan hai vo
jaadū ḳhayāl-āfrīñ dil-dār-o-dil-nashīñ
guldasta-e-bahār hai sarv-o-saman hai vo
mausam se māvarā hai mirā paikar-e-ḳhayāl
jis haal meñ ho apne liye ik chaman hai vo
raushan rakhā hai mujh ko usī ke ḳhayāl ne
tārīkiyoñ ke dasht meñ larzāñ kiran hai vo
chashm-e-ġhazal se dekhā to mahsūs ye huā
sarmāya-e-hayāt kī mīThī chubhan hai vo
pāmāl ho ke bhī maiñ rahā sabza-e-bahār
hai sabzagī bisāt mirī aur hiran hai vo
ye saarī hijrateñ to bahut ḳhuub haiñ 'zafar'
dil ko jahāñ qarār mile bas vatan hai vo
simin-badan hai wo na gul-e-nastaran hai wo
phir bhi hamare waste jaan-e-suKHan hai wo
jadu KHayal-afrin dil-dar-o-dil-nashin
guldasta-e-bahaar hai sarw-o-saman hai wo
mausam se mawara hai mera paikar-e-KHayal
jis haal mein ho apne liye ek chaman hai wo
raushan rakha hai mujh ko usi ke KHayal ne
tarikiyon ke dasht mein larzan kiran hai wo
chashm-e-ghazal se dekha to mahsus ye hua
sarmaya-e-hayat ki miThi chubhan hai wo
pamal ho ke bhi main raha sabza-e-bahaar
hai sabzagi bisat meri aur hiran hai wo
ye sari hijraten to bahut KHub hain 'zafar'
dil ko jahan qarar mile bas watan hai wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.