sina-e-KHak pe bikhra hai lahu ganw mein
sīna-e-ḳhāk pe bikhrā hai lahū gaañv meñ
aisā lagtā hai ki lauT aayā hai tū gaañv meñ
guftugū hogī tirī ḳhud se kisī ke lab par
tū kisī roz kisī phuul ko chhū gaañv meñ
kachchī masjid hai jahāñ paḌhte haiñ sab log namāz
aur ik nahr se karte haiñ vuzū gaañv meñ
mil ke baiTheñge ḳhushī aur ġhamī meñ saare
jaarī rakheñge mohabbat kī ye ḳhū gaañv meñ
na parinde haiñ na ab khelte bachche 'tāsīr'
ab to chhāyā hai faqat ālam-e-hū gaañv meñ
sina-e-KHak pe bikhra hai lahu ganw mein
aisa lagta hai ki lauT aaya hai tu ganw mein
guftugu hogi teri KHud se kisi ke lab par
tu kisi roz kisi phul ko chhu ganw mein
kachchi masjid hai jahan paDhte hain sab log namaz
aur ek nahr se karte hain wuzu ganw mein
mil ke baiThenge KHushi aur ghami mein sare
jari rakhenge mohabbat ki ye KHu ganw mein
na parinde hain na ab khelte bachche 'tasir'
ab to chhaya hai faqat aalam-e-hu ganw mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.