sina-e-shair gham se bhara hai aankh magar namnak nahin hai
sīna-e-shā.ir ġham se bharā hai aañkh magar namnāk nahīñ hai
roz-e-azal se hai dīvāna dāman lekin chaak nahīñ hai
hijr ke ġham meñ rone vaale terā alam duniyā kī nazar meñ
kal bhī ibrat-nāk nahīñ thā aaj bhī ibrat-nāk nahīñ hai
shikva-ba-lab vo riñd haiñ saaqī aaj bhī tere maiḳhāne meñ
tishna-dahan baiThe haiñ lekin arz-e-talab bebāk nahīñ hai
shā.ir kī āvāra tabī.at asl meñ hai taz.īn-e-mohabbat
nāseh mushfiq tum sab kuchh ho sirf yahī idrāk nahīñ hai
tū hī batā ham aise insāñ terī galī meñ kyuuñ aate haiñ
terī adā.eñ shoḳh nahīñ haiñ terī nazar bebāk nahīñ hai
maiñ hī kyā kuchh aur yagāne merī tarah haiñ tere divāne
parvānoñ kī ḳhaak meñ shāmil lekin merī ḳhaak nahīñ hai
tum ne 'azīz' us kī mahfil meñ shab na sahī lamhe tū guzāre
mustaqbil kī fikr to kyuuñ ho haal bhī hasrat-nāk nahīñ hai
sina-e-shair gham se bhara hai aankh magar namnak nahin hai
roz-e-azal se hai diwana daman lekin chaak nahin hai
hijr ke gham mein rone wale tera alam duniya ki nazar mein
kal bhi ibrat-nak nahin tha aaj bhi ibrat-nak nahin hai
shikwa-ba-lab wo rind hain saqi aaj bhi tere maiKHane mein
tishna-dahan baiThe hain lekin arz-e-talab bebak nahin hai
shair ki aawara tabiat asl mein hai tazin-e-mohabbat
naseh mushfiq tum sab kuchh ho sirf yahi idrak nahin hai
tu hi bata hum aise insan teri gali mein kyun aate hain
teri adaen shoKH nahin hain teri nazar bebak nahin hai
main hi kya kuchh aur yagane meri tarah hain tere diwane
parwanon ki KHak mein shamil lekin meri KHak nahin hai
tum ne 'aziz' us ki mahfil mein shab na sahi lamhe tu guzare
mustaqbil ki fikr to kyun ho haal bhi hasrat-nak nahin hai
- Book : Mehraab (Pg. 17)
- Author : Aziiz vaarsii
- Publication : Mahakma Ettlaat U.P (1976)
- Edition : 1976
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.