sina lahuluhan hai kali chaTan ka
siina lahūluhān hai kaalī chaTān kā
patthar meñ bhī gumān sā hotā hai jaan kā
chhoTā sā ek tinkā chiḌiyā kī choñch meñ
shahtīr lag rahā thā jo ūñche makān kā
qindīl le ke ḳhud hī vo ḳhandaq meñ jā girā
nā'ra lagā rahā thā abhī sāvdhān kā
hai sāmne se aañkh milāne kā lutf aur
khelegā kyā shikār shikārī machān kā
'ājiz' merī qamīz meñ aTkā thā jo kabhī
tohfe kā thā vo phuul ki kāñTā thā jaan kā
sina lahuluhan hai kali chaTan ka
patthar mein bhi guman sa hota hai jaan ka
chhoTa sa ek tinka chiDiya ki chonch mein
shahtir lag raha tha jo unche makan ka
qindil le ke KHud hi wo KHandaq mein ja gira
na'ra laga raha tha abhi sawdhan ka
hai samne se aankh milane ka lutf aur
khelega kya shikar shikari machan ka
'ajiz' meri qamiz mein aTka tha jo kabhi
tohfe ka tha wo phul ki kanTa tha jaan ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.