sinchiye paudhon ko to phul wa phal dete hain
sinchiye paudhon ko to phul wa phal dete hain
Anjana Singh Sengar
MORE BYAnjana Singh Sengar
sīñchiye paudhoñ ko to phuul va phal dete haiñ
vaqt lagtā hai magar kuchh to badal dete haiñ
aise logoñ kī taraqqī nahīñ ruktī hai kabhī
vaqt ke prashnoñ kā do Tuuk jo hal dete haiñ
bāġhbāñ un ko banāne pe lage haiñ kuchh log
lahlahātī huī kaliyāñ jo masal dete haiñ
vaqt un kā koī nuqsān nahīñ kar paatā
vaqt paḌne pe jo ḳhud vaqt badal dete haiñ
sabhyatā gūñjtī hai aaj bhī aivānoñ meñ
ham farishta-sifat insān aTal dete haiñ
uñgliyāñ kāTne vāloñ ko ḳhabar kar denā
haath dushman ke bhī ham log kamal dete haiñ
jo mohabbat ke pujārī haiñ vo duniyā bhar ko
tiir talvār nahīñ dete ġhazal dete haiñ
aaj ke daur kā itihās bhī likhiye sāhib
aap to bas hameñ guzrā huā pal dete haiñ
'anjanā' ahl-e-mohabbat ko mohabbat vaale
ik mohabbat kā nishāñ tāj-mahal dete haiñ
sinchiye paudhon ko to phul wa phal dete hain
waqt lagta hai magar kuchh to badal dete hain
aise logon ki taraqqi nahin rukti hai kabhi
waqt ke prashnon ka do Tuk jo hal dete hain
baghban un ko banane pe lage hain kuchh log
lahlahati hui kaliyan jo masal dete hain
waqt un ka koi nuqsan nahin kar pata
waqt paDne pe jo KHud waqt badal dete hain
sabhyata gunjti hai aaj bhi aiwanon mein
hum farishta-sifat insan aTal dete hain
ungliyan kaTne walon ko KHabar kar dena
hath dushman ke bhi hum log kamal dete hain
jo mohabbat ke pujari hain wo duniya bhar ko
tir talwar nahin dete ghazal dete hain
aaj ke daur ka itihas bhi likhiye sahib
aap to bas hamein guzra hua pal dete hain
'anjana' ahl-e-mohabbat ko mohabbat wale
ek mohabbat ka nishan taj-mahal dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.