sine hain chaak aur gareban sile hue
siine haiñ chaak aur garebāñ sile hue
tūfāñ haiñ sat.h-e-āb ke nīche chhupe hue
ik umr-e-muḳhtasar bhī guzārī nahīñ ga.ī
sadiyāñ agarche guzrī haiñ dukh jhelte hue
ranj-e-shikasta-pā.ī hai ik zād-e-rāh-e-shauq
aur 'umr hone aa.ī hai ghar se chale hue
kab faiz pā sakā koī shāḳh-e-burīda se
kuchh phuul shāḳh par haiñ abhī tak lage hue
bhūle the sañg-hā-e-malāmat ko ham magar
kuchh zaḳhm is bahār meñ phir se hare hue
vā kar diye haiñ baḳhiye ne lākhoñ dahān-e-zaḳhm
baiThe haiñ jab se apne laboñ ko siye hue
'ishqī tū pūchh kaise chhuTā kārvāñ kā saath
muḌ muḌ ke log guzre hameñ dekhe hue
sine hain chaak aur gareban sile hue
tufan hain sath-e-ab ke niche chhupe hue
ek umr-e-muKHtasar bhi guzari nahin gai
sadiyan agarche guzri hain dukh jhelte hue
ranj-e-shikasta-pai hai ek zad-e-rah-e-shauq
aur 'umr hone aai hai ghar se chale hue
kab faiz pa saka koi shaKH-e-burida se
kuchh phul shaKH par hain abhi tak lage hue
bhule the sang-ha-e-malamat ko hum magar
kuchh zaKHm is bahaar mein phir se hare hue
wa kar diye hain baKHiye ne lakhon dahan-e-zaKHm
baiThe hain jab se apne labon ko siye hue
'ishqi tu puchh kaise chhuTa karwan ka sath
muD muD ke log guzre hamein dekhe hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.