sine ka dagh dagh farozan kiye hue
siine kā daaġh daaġh farozāñ kiye hue
baiThe haiñ bazm-e-dost charāġhāñ kiye hue
o jaane vaale dil ko bayābāñ kiye hue
aanā paḌegā chaak garebāñ kiye hue
yārab junūn-e-tark-e-mohabbat kī ḳhair ho
vo aa rahe haiñ azm-e-dil-o-jāñ kiye hue
baiThe haiñ bazm-e-dost meñ āshuftagān-e-ġham
ashk-e-chakīda zīnat-e-mizhgāñ kiye hue
sargarm-e-iltifāt hai phir chashm-e-munfa.il
palkoñ kī oT hashr kā sāmāñ kiye hue
ab ham haiñ aur hasrat-e-fasl-e-bahār 'rāz'
muddat huī hai chaak garebāñ kiye hue
sine ka dagh dagh farozan kiye hue
baiThe hain bazm-e-dost charaghan kiye hue
o jaane wale dil ko bayaban kiye hue
aana paDega chaak gareban kiye hue
yarab junun-e-tark-e-mohabbat ki KHair ho
wo aa rahe hain azm-e-dil-o-jaan kiye hue
baiThe hain bazm-e-dost mein aashuftagan-e-gham
ashk-e-chakida zinat-e-mizhgan kiye hue
sargarm-e-iltifat hai phir chashm-e-munfail
palkon ki oT hashr ka saman kiye hue
ab hum hain aur hasrat-e-fasl-e-bahaar 'raaz'
muddat hui hai chaak gareban kiye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.