sine mein arman ki ganga aankhon mein jamuna ka hai jal
sine mein arman ki ganga aankhon mein jamuna ka hai jal
Badiuzzaman Sahar
MORE BYBadiuzzaman Sahar
siine meñ armān kī gangā āñkhoñ meñ jamunā kā hai jal
lekin dil ke tāj-mahal meñ koī nahīñ mumtāz mahal
kis ko batlā.eñ ki kyā hai jazb-e-darūñ ehsās-e-vafā
kis ke ġham meñ naġhma-e-dil hai kis kī hai tasvīr ġhazal
aa.heñ aañsū girya-o-hasrat soz-e-darūñ hangāma-e-vahshat
in sho'loñ meñ jo na tapā ho kyā jaane vo dard-e-baġhal
maiḳhāne meñ jaam badal de chāhe mai-e-gulfām badal de
kam-az-kam ai pīr-e-muġhāñ tū rasm-e-ravādārī na badal
kyā samjhe vo nashsha-e-mai ko kyā jaane zunnār qadah ko
tū hī dard-āshām ko saaqī batlā de tahdīd-e-'amal
ruḳh kī dhuup ā.īna-e-tābāñ mār-gazīda kākul-e-pechāñ
dilkash ruup aur chāh-e-zanaḳhdāñ sab haiñ 'sahar' sāmān-e-ajal
sine mein arman ki ganga aankhon mein jamuna ka hai jal
lekin dil ke taj-mahal mein koi nahin mumtaz mahal
kis ko batlaen ki kya hai jazb-e-darun ehsas-e-wafa
kis ke gham mein naghma-e-dil hai kis ki hai taswir ghazal
aahen aansu girya-o-hasrat soz-e-darun hangama-e-wahshat
in sho'lon mein jo na tapa ho kya jaane wo dard-e-baghal
maiKHane mein jam badal de chahe mai-e-gulfam badal de
kam-az-kam ai pir-e-mughan tu rasm-e-rawadari na badal
kya samjhe wo nashsha-e-mai ko kya jaane zunnar qadah ko
tu hi dard-asham ko saqi batla de tahdid-e-'amal
ruKH ki dhup aaina-e-taban mar-gazida kakul-e-pechan
dilkash rup aur chah-e-zanaKHdan sab hain 'sahar' saman-e-ajal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.