sine mein dagh hai tapish-e-intizar ka
siine meñ daaġh hai tapish-e-intizār kā
ab kyā karūñ ilaaj dil-e-dāġh-dār kā
us se mujhe milāo ki martā huuñ hijr meñ
baa.is hai zindagī kā mirī vasl yaar kā
sayyād ab to chhoḌ de aatī hai fasl-e-gul
dekhūñgā haa.e kyuuñ ki tamāshā bahār kā
shāyad tumhāre diiñ meñ hai ai dilbaro ravā
dil chhīn lenā āshiq sīna-figār kā
shabnam nahīñ hai barg ke uupar chaman ke biich
'āsif' girā hai ashk kisī be-qarār kā
sine mein dagh hai tapish-e-intizar ka
ab kya karun ilaj dil-e-dagh-dar ka
us se mujhe milao ki marta hun hijr mein
bais hai zindagi ka meri wasl yar ka
sayyaad ab to chhoD de aati hai fasl-e-gul
dekhunga hae kyun ki tamasha bahaar ka
shayad tumhaare din mein hai ai dilbaro rawa
dil chhin lena aashiq sina-figar ka
shabnam nahin hai barg ke upar chaman ke bich
'asif' gira hai ashk kisi be-qarar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.