sine mein dil jo dard ka mara nahin mila
siine meñ dil jo dard kā maarā nahīñ milā
phir aa.ine meñ aks hamārā nahīñ milā
mele meñ aa ga.e the ki shāyad koī mile
is bhiiḌ meñ bhī koī hamārā nahīñ milā
har-chand ik hujūm thā āñkhoñ kā har taraf
lekin kisī nazar kā sahārā nahīñ milā
kashtī to Dūbne ke liye be-qarār thī
kashtī ko Dūbne kā ishāra nahīñ milā
sine mein dil jo dard ka mara nahin mila
phir aaine mein aks hamara nahin mila
mele mein aa gae the ki shayad koi mile
is bhiD mein bhi koi hamara nahin mila
har-chand ek hujum tha aankhon ka har taraf
lekin kisi nazar ka sahaara nahin mila
kashti to Dubne ke liye be-qarar thi
kashti ko Dubne ka ishaara nahin mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.