sine mein dil misal-e-chaman-dar-chaman to ho
sine mein dil misal-e-chaman-dar-chaman to ho
Mansha ur Rahman Khan Mansha
MORE BYMansha ur Rahman Khan Mansha
siine meñ dil misāl-e-chaman-dar-chaman to ho
jo zaḳhm ho harīf-e-gul-o-yāsman to ho
do din kī zindagī bhī baḌī chiiz hai magar
jiine ke Dhang meñ zarā mastāna-pan to ho
dil aap apnī zaat se ik anjuman sahī
dil bastagī ke vāste koī lagan to ho
ye kyā ki sirf chāk-e-garebāñ pe iktifā
vahshat ba-qadr-e-rang-e-bahār-e-chaman to ho
khul jā.egā hai kaun sazā-vār-e-mai-kashī
sāmān-e-āzmā.ish-e-kām-o-dahan to ho
sāz-e-dil-e-hazīñ se bhī naġhme ubal paḌeñ
koī nigāh-e-nāz kabhī zaḳhma-zan to ho
ye bhī ḳhizāñ ke dast-e-sitam se bache raheñ
phūloñ meñ misl-e-ḳhār koī bāñkpan to ho
tashbīh deñ jise qad-o-gesū-e-yār se
gulshan meñ aisā manzar-e-sarv-o-saman to ho
sine mein dil misal-e-chaman-dar-chaman to ho
jo zaKHm ho harif-e-gul-o-yasman to ho
do din ki zindagi bhi baDi chiz hai magar
jine ke Dhang mein zara mastana-pan to ho
dil aap apni zat se ek anjuman sahi
dil bastagi ke waste koi lagan to ho
ye kya ki sirf chaak-e-gareban pe iktifa
wahshat ba-qadr-e-rang-e-bahaar-e-chaman to ho
khul jaega hai kaun saza-war-e-mai-kashi
saman-e-azmaish-e-kaam-o-dahan to ho
saz-e-dil-e-hazin se bhi naghme ubal paDen
koi nigah-e-naz kabhi zaKHma-zan to ho
ye bhi KHizan ke dast-e-sitam se bache rahen
phulon mein misl-e-KHar koi bankpan to ho
tashbih den jise qad-o-gesu-e-yar se
gulshan mein aisa manzar-e-sarw-o-saman to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.