sine mein jab dard koi bo jata hai
siine meñ jab dard koī bo jaatā hai
ro lete haiñ jī halkā ho jaatā hai
tadbīroñ ke maan dhare rah jaate haiñ
honā hotā hai jo vo ho jaatā hai
zaḳhmoñ meñ jab dard kī kaskan baḌhtī hai
naalā lab par aa ke duā ho jaatā hai
hijr kī shab ġham ke aañsū Dhote Dhote
kājal thak kar gāloñ par so jaatā hai
sāñsoñ meñ jab raah kī chaap mahaktī hai
man āñgan ḳhushbū ḳhushbū ho jaatā hai
sine mein jab dard koi bo jata hai
ro lete hain ji halka ho jata hai
tadbiron ke man dhare rah jate hain
hona hota hai jo wo ho jata hai
zaKHmon mein jab dard ki kaskan baDhti hai
nala lab par aa ke dua ho jata hai
hijr ki shab gham ke aansu Dhote Dhote
kajal thak kar galon par so jata hai
sanson mein jab rah ki chap mahakti hai
man aangan KHushbu KHushbu ho jata hai
- Book : Safeer-e-akhir-e-shab(Poetry) (Pg. 83)
- Author : Ram avtar gupta ''muztar''
- Publication : Takhleeqkar Publishers (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.