sine mein liye jine ke arman hazaron
siine meñ liye jiine ke armān hazāroñ
mar jaate haiñ har din yahāñ insān hazāroñ
sab husn ko ma.asūm samajhte haiñ jahāñ meñ
aur ishq ke māthe pe haiñ bohtān hazāroñ
har zaḳhm ne baḳhshī hai jilā mere junūñ ko
qātil tirī shamshīr ke ehsān hazāroñ
lā-hāsilī āḳhir ko hai har chiiz kā hāsil
har naf.a ke pahlū meñ haiñ nuqsān hazāroñ
ik zabt kī dīvār sambhāle rahī mujh ko
har chand uThe mujh meñ bhī tūfān hazāroñ
kuchh baat to us shoḳh meñ aisī hai yaqīnan
phirte haiñ hathelī pe liye jaan hazāroñ
ai kaash mire sher pe kahtā koī 'raḳhshāñ'
qurbān tire sher par dīvān hazāroñ
sine mein liye jine ke arman hazaron
mar jate hain har din yahan insan hazaron
sab husn ko masum samajhte hain jahan mein
aur ishq ke mathe pe hain bohtan hazaron
har zaKHm ne baKHshi hai jila mere junun ko
qatil teri shamshir ke ehsan hazaron
la-hasili aaKHir ko hai har chiz ka hasil
har nafa ke pahlu mein hain nuqsan hazaron
ek zabt ki diwar sambhaale rahi mujh ko
har chand uThe mujh mein bhi tufan hazaron
kuchh baat to us shoKH mein aisi hai yaqinan
phirte hain hatheli pe liye jaan hazaron
ai kash mere sher pe kahta koi 'raKHshan'
qurban tere sher par diwan hazaron
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.