sine mein sans aankhon mein jab tak ke dam rahe
siine meñ saañs āñkhoñ meñ jab tak ke dam rahe
bātil ke sāmne na mirā sar ye ḳham rahe
mausam bhī dil-fareb hai māhaul bhī hasīn
lag jā gale ki kuchh to vafā ka bharam rahe
kirdār par na apne kabhī harf aa sakā
dushman kī mahfiloñ meñ bhī ham mohtaram rahe
vaise to ye jahān fasānoñ ka Dher hai
lekin fasāne apne bahut hī aham rahe
ham ne har ek mas.ala hal kar liyā magar
baaqī 'bahār' zulf ke bas pech-o-ḳham rahe
sine mein sans aankhon mein jab tak ke dam rahe
baatil ke samne na mera sar ye KHam rahe
mausam bhi dil-fareb hai mahaul bhi hasin
lag ja gale ki kuchh to wafa ka bharam rahe
kirdar par na apne kabhi harf aa saka
dushman ki mahfilon mein bhi hum mohtaram rahe
waise to ye jahan fasanon ka Dher hai
lekin fasane apne bahut hi aham rahe
hum ne har ek masala hal kar liya magar
baqi 'bahaar' zulf ke bas pech-o-KHam rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.