Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sine mohabbaton se munawwar kiye gae

Hasan Zaheer Raja

sine mohabbaton se munawwar kiye gae

Hasan Zaheer Raja

MORE BYHasan Zaheer Raja

    siine mohabbatoñ se munavvar kiye ga.e

    ham dūsroñ se aise bhī behtar kiye ga.e

    vaise tumhārā ḳhauf bhī kaafī ziyāda thā

    kuchh faisle to ḳhud se bhī Dar kar kiye ga.e

    yak dam kisī ne ham ko gale se lagā liyā

    sahrā se ek pal meñ samundar kiye ga.e

    bā-qā.edā hamārā liyā rahā thā naam

    phir dekhte dekhte dīgar kiye ga.e

    ab aa.ine ke aage khaḌe sochte haiñ ham

    kuchh tajrabe ziyāda ḳhud par kiye ga.e

    ab aap in ko she'r kaheñ nahīñ kaheñ

    kuchh rañj the jo dāḳhil-e-daftar kiye ga.e

    sine mohabbaton se munawwar kiye gae

    hum dusron se aise bhi behtar kiye gae

    waise tumhaara KHauf bhi kafi ziyaada tha

    kuchh faisle to KHud se bhi Dar kar kiye gae

    yak dam kisi ne hum ko gale se laga liya

    sahra se ek pal mein samundar kiye gae

    ba-qaeda hamara liya ja raha tha nam

    phir dekhte hi dekhte digar kiye gae

    ab aaine ke aage khaDe sochte hain hum

    kuchh tajrabe ziyaada hi KHud par kiye gae

    ab aap in ko she'r kahen ya nahin kahen

    kuchh ranj the jo daKHil-e-daftar kiye gae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now