sine pe ayan naqsh-e-kuhan hai ki nahin hai
siine pe 'ayāñ naqsh-e-kuhan hai ki nahīñ hai
kyā koī yahāñ vāris-e-fan hai ki nahīñ hai
kal aañkh meñ ḳhvāboñ kā nasha thā ki nahīñ thā
ab TūTtī kirchoñ kī chubhan hai ki nahīñ hai
chhūte hī ḳhalāoñ meñ bikhar jaatā hai yaaro
maiñ kaise batā.ūñ vo badan hai ki nahīñ hai
kyā dekhnā paañv kā ġharīb-ul-vatanī meñ
ghar jā ke batā.eñge thakan hai ki nahīñ hai
sun lahja-e-ḳhāmosh kā andāz-e-taḳhātub
aur bol ki ye rashk-e-suḳhan hai ki nahīñ hai
duniyā tire pahlū meñ qazā aa ga.ī ham ko
tū pūchh rahī hai ki ghuTan hai ki nahīñ hai
ye baat batāo to maiñ āvāz lagā.ūñ
yaañ lauT ke aane kā chalan hai ki nahīñ hai
sine pe 'ayan naqsh-e-kuhan hai ki nahin hai
kya koi yahan waris-e-fan hai ki nahin hai
kal aankh mein KHwabon ka nasha tha ki nahin tha
ab TuTti kirchon ki chubhan hai ki nahin hai
chhute hi KHalaon mein bikhar jata hai yaro
main kaise bataun wo badan hai ki nahin hai
kya dekhna panw ka gharib-ul-watani mein
ghar ja ke bataenge thakan hai ki nahin hai
sun lahja-e-KHamosh ka andaz-e-taKHatub
aur bol ki ye rashk-e-suKHan hai ki nahin hai
duniya tere pahlu mein qaza aa gai hum ko
tu puchh rahi hai ki ghuTan hai ki nahin hai
ye baat batao to main aawaz lagaun
yan lauT ke aane ka chalan hai ki nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.