sine pe kare war jo KHanjar wahi achchha
siine pe kare vaar jo ḳhanjar vahī achchhā
jo khul ke sitam Dhaa.e sitamgar vahī achchhā
shānoñ pe rahe yā ki rahe nok-e-sināñ par
jo ġhair ke aage na jhuke sar vahī achchhā
dushman hai to hamdard kī sūrat na milā kar
aa.e jo nazar duur se patthar vahī achchhā
dariyāoñ ke hamrāh bahe dhuup se khele
dhartī pe baras jaa.e samundar vahī achchhā
sine pe kare war jo KHanjar wahi achchha
jo khul ke sitam Dhae sitamgar wahi achchha
shanon pe rahe ya ki rahe nok-e-sinan par
jo ghair ke aage na jhuke sar wahi achchha
dushman hai to hamdard ki surat na mila kar
aae jo nazar dur se patthar wahi achchha
dariyaon ke hamrah bahe dhup se khele
dharti pe baras jae samundar wahi achchha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.