sine se lagaen tumhein arman yahi hai
siine se lagā.eñ tumheñ armān yahī hai
jiine kā maza hai to mirī jaan yahī hai
sabr is liye achchhā hai ki ā.inda hai ummīd
maut is liye behtar hai ki āsān yahī hai
tū dil meñ to aatā hai samajh meñ nahīñ aatā
bas jaan gayā maiñ tirī pahchān yahī hai
gesū ke sharīk aur bhī the qatl meñ mere
kyā vaj.h hai is kī ki pareshān yahī hai
us but ne kahā bosa-e-be-izn pa hañs kar
bas dekh liyā aap kā īmān yahī hai
karte haiñ ba-tadrīj vo zulmoñ meñ izāfa
mujh par agar un kā hai kuchh ehsān yahī hai
ham falsafe ko kahte haiñ gumrāhī kā baa.is
vo peT dikhāte haiñ ki shaitān yahī hai
sine se lagaen tumhein arman yahi hai
jine ka maza hai to meri jaan yahi hai
sabr is liye achchha hai ki aainda hai ummid
maut is liye behtar hai ki aasan yahi hai
tu dil mein to aata hai samajh mein nahin aata
bas jaan gaya main teri pahchan yahi hai
gesu ke sharik aur bhi the qatl mein mere
kya wajh hai is ki ki pareshan yahi hai
us but ne kaha bosa-e-be-izn pa hans kar
bas dekh liya aap ka iman yahi hai
karte hain ba-tadrij wo zulmon mein izafa
mujh par agar un ka hai kuchh ehsan yahi hai
hum falsafe ko kahte hain gumrahi ka bais
wo peT dikhate hain ki shaitan yahi hai
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 60)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.