sinon mein agar hoti kuchh pyar ki gunjaish
sīnoñ meñ agar hotī kuchh pyaar kī gunjā.ish
hāthoñ meñ nikaltī kyuuñ talvār kī gunjā.ish
pichhḌe hue gaañv kā shāyad hai vo bāshinda
jo shahr meñ DhūñDe hai īsār kī gunjā.ish
nafrat kī ta.assub kī yuuñ rakkhī ga.iiñ īñTeñ
paidā huī zehnoñ meñ dīvār kī gunjā.ish
pākīzgī rūhoñ kī nīlām huī jab se
jismoñ meñ nikal aa.ī bāzār kī gunjā.ish
is tarah khule dil se iqrār nahīñ karte
rakh lījiye thoḌī sī inkār kī gunjā.ish
gar azm musammam ho aur jehd-e-musalsal bhī
sahrā meñ nikal aa.e gulzār kī gunjā.ish
samjheñ ki na samjheñ vo ham ne to 'asad' rakh dī
ash.ār ke hoñToñ pe iz.hār kī gunjā.ish
sinon mein agar hoti kuchh pyar ki gunjaish
hathon mein nikalti kyun talwar ki gunjaish
pichhDe hue ganw ka shayad hai wo bashinda
jo shahr mein DhunDe hai isar ki gunjaish
nafrat ki tassub ki yun rakkhi gain inTen
paida hui zehnon mein diwar ki gunjaish
pakizgi ruhon ki nilam hui jab se
jismon mein nikal aai bazar ki gunjaish
is tarah khule dil se iqrar nahin karte
rakh lijiye thoDi si inkar ki gunjaish
gar azm musammam ho aur jehd-e-musalsal bhi
sahra mein nikal aae gulzar ki gunjaish
samjhen ki na samjhen wo hum ne to 'asad' rakh di
ashaar ke honTon pe izhaar ki gunjaish
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.