sinon mein tapish hai kabhi shorish hai saron mein
sīnoñ meñ tapish hai kabhī shorish hai saroñ meñ
kyā chiiz basā dī ga.ī miTTī ke gharoñ meñ
chaltā huuñ sadā saath liye apnī fasīleñ
pahchān sakā kaun mujhe ham-safaroñ meñ
uḌnā hai to tahzīb karo soz-e-darūñ kī
ye varna kahīñ aag lagā de na paroñ meñ
ġhairoñ meñ huī aam tirī daulat-e-dīdār
ik kohl-e-basar thā ki luTā be-basroñ meñ
do-gām pe tum ḳhud se bichhaḌ jaate ho 'ḳhurshīd'
aur log samajhte haiñ tumheñ rāhbaroñ meñ
sinon mein tapish hai kabhi shorish hai saron mein
kya chiz basa di gai miTTi ke gharon mein
chalta hun sada sath liye apni fasilen
pahchan saka kaun mujhe ham-safaron mein
uDna hai to tahzib karo soz-e-darun ki
ye warna kahin aag laga de na paron mein
ghairon mein hui aam teri daulat-e-didar
ek kohl-e-basar tha ki luTa be-basron mein
do-gam pe tum KHud se bichhaD jate ho 'KHurshid'
aur log samajhte hain tumhein rahbaron mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.