sinon mein umDe hain sad-mauja-e-gham rote hain
sīnoñ meñ umḌe haiñ sad-mauja-e-ġham rote haiñ
be-kafan laash liye saḌkoñ pe ham rote haiñ
kis liye ġhāza-e-ġham chehre pe malte haiñ aap
ham kahāñ jaate hue mulk-e-adam rote haiñ
aqrab-e-shām kise Dañk nahīñ mārte yaañ
ham bhī rote haiñ magar aap se kam rote haiñ
kis qadar ho ga.e behis ye hamāre shā.ir
aañkh hī rotī hai un ke na qalam rote haiñ
jism pe khaal bhī rahne nahīñ detā hai vo
dekh kar ham tire naa.ib ke karam rote haiñ
sinon mein umDe hain sad-mauja-e-gham rote hain
be-kafan lash liye saDkon pe hum rote hain
kis liye ghaza-e-gham chehre pe malte hain aap
hum kahan jate hue mulk-e-adam rote hain
aqrab-e-sham kise Dank nahin marte yan
hum bhi rote hain magar aap se kam rote hain
kis qadar ho gae behis ye hamare shair
aankh hi roti hai un ke na qalam rote hain
jism pe khaal bhi rahne nahin deta hai wo
dekh kar hum tere naib ke karam rote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.