sipi hain sab ke pas guhar kis ke pas hai
siipī haiñ sab ke paas guhar kis ke paas hai
jo mere paas hai vo hunar kis ke paas hai
chehre pe ḳhaak aañkh meñ motī laboñ pe aah
is qā.ede kā raḳht-e-safar kis ke paas hai
sahrā-navard pūchhtā phirtā hai shahr shahr
jo de sake panāh vo ghar kis ke paas hai
lab par to haiñ duā.eñ magar ai dil-e-hazīñ
tū ḳhuub jāntā hai asar kis ke paas hai
alfāz par na rūh-e-ma.ānī pe harf aa.e
ye e.atibār-e-harf-e-digar kis ke paas hai
ḳhāmosh hai jo sham.a zabāñ mil sake use
ye sho.alagī-e-harf-e-hunar kis ke paas hai
mausam kā ye azaab ravish-dar-ravish hai 'shān'
ab imtiyāz-e-naḳhl-o-samar kis ke paas hai
sipi hain sab ke pas guhar kis ke pas hai
jo mere pas hai wo hunar kis ke pas hai
chehre pe KHak aankh mein moti labon pe aah
is qaede ka raKHt-e-safar kis ke pas hai
sahra-naward puchhta phirta hai shahr shahr
jo de sake panah wo ghar kis ke pas hai
lab par to hain duaen magar ai dil-e-hazin
tu KHub jaanta hai asar kis ke pas hai
alfaz par na ruh-e-maani pe harf aae
ye eatibar-e-harf-e-digar kis ke pas hai
KHamosh hai jo shama zaban mil sake use
ye shoalagi-e-harf-e-hunar kis ke pas hai
mausam ka ye azab rawish-dar-rawish hai 'shan'
ab imtiyaz-e-naKHl-o-samar kis ke pas hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.