sipi sada munh jab khole kirnon ki tab barish ho
siipī saada muñh jab khole kirnoñ kī tab bārish ho
motī kī do mālā.eñ aur un par chamke gañgā jal
kaalī laT hai nāgin jaisī kaan kī lohe us kā phan
us kī nazroñ meñ dhokā hai us kī bātoñ meñ hai chhal
us kā chalnā jaise hilnā phūloñ kī ik Daalī kā
shāḳh kamar hai nāzuk aise lahrātī yā khātī bal
aaj madhur hai lahja terā bol suhāne tere 'ayāz'
aaj ġhazal meñ baat na.ī hai baat na.ī tū kahtā chal
sipi sada munh jab khole kirnon ki tab barish ho
moti ki do malaen aur un par chamke ganga jal
kali laT hai nagin jaisi kan ki lohe us ka phan
us ki nazron mein dhoka hai us ki baaton mein hai chhal
us ka chalna jaise hilna phulon ki ek Dali ka
shaKH kamar hai nazuk aise lahraati ya khati bal
aaj madhur hai lahja tera bol suhane tere 'ayaz'
aaj ghazal mein baat nai hai baat nai tu kahta chal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.