sikhae par tere kyunkar chalenge
sikhā.e par tire kyūñkar chaleñge
ḳhud apnī chaal ham behtar chaleñge
agar chalnā hī hai ham ko jahāñ meñ
to ham sab se zarā haT kar chaleñge
safar meñ le chaleñge ghar ko apne
ye dar dīvār aur bistar chaleñge
agar tujh ko hamārī hai na parvāh
to pahlū se tire uTh kar chaleñge
qalandar shaah ke hamrāh kyuuñ ho
musāhib aur ye afsar chaleñge
nahīñ Darte tire dār-o-rasan se
ye tere ro.ab kyā ham par chaleñge
ye khoTe sikkoñ kā hai daur 'kundan'
yahāñ pe ḳhuub ab kamtar chaleñge
sikhae par tere kyunkar chalenge
KHud apni chaal hum behtar chalenge
agar chalna hi hai hum ko jahan mein
to hum sab se zara haT kar chalenge
safar mein le chalenge ghar ko apne
ye dar diwar aur bistar chalenge
agar tujh ko hamari hai na parwah
to pahlu se tere uTh kar chalenge
qalandar shah ke hamrah kyun ho
musahib aur ye afsar chalenge
nahin Darte tere dar-o-rasan se
ye tere roab kya hum par chalenge
ye khoTe sikkon ka hai daur 'kundan'
yahan pe KHub ab kamtar chalenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.