sikhaya ishq ne mujhko ki jang-ju kya hai
sikhāyā ishq ne mujh ko ki jañg-jū kyā hai
ye kyā hai zaḳhm kī shiddat ki phir rafū kyā hai
agar sukūñ hai kisī ik jagah Thahar jaanā
to phir ye ḳhuub se bartar kī justujū kyā hai
usuul hote haiñ kuchh dosto mohabbat ke
agar namāz hai sab kuchh to phir vuzū kyā hai
agar ho chhoḌ ga.e mujh ko chhoḌne vaale
to terī yādoñ sā ye mere rū-ba-rū kyā hai
sitāre toḌnā mumkin hai yā nahīñ mumkin
tum us ko chhoḌo batāo ki aarzū kyā hai
mire haiñ sāmne mere mire baġhair tire
agar haiñ yaar ye mere to phir adū kyā hai
tumhārī mahfiloñ meñ aanā phir chale jaanā
agar zavāl hai ye bhī to surḳh-rū kyā hai
sikhaya ishq ne mujh ko ki jang-ju kya hai
ye kya hai zaKHm ki shiddat ki phir rafu kya hai
agar sukun hai kisi ek jagah Thahar jaana
to phir ye KHub se bartar ki justuju kya hai
usul hote hain kuchh dosto mohabbat ke
agar namaz hai sab kuchh to phir wuzu kya hai
agar ho chhoD gae mujh ko chhoDne wale
to teri yaadon sa ye mere ru-ba-ru kya hai
sitare toDna mumkin hai ya nahin mumkin
tum us ko chhoDo batao ki aarzu kya hai
mere hain samne mere mere baghair tere
agar hain yar ye mere to phir adu kya hai
tumhaari mahfilon mein aana phir chale jaana
agar zawal hai ye bhi to surKH-ru kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.