sila ulfat ka pana chahta hun
sila ulfat kā paanā chāhtā huuñ
tire dil meñ samānā chāhtā huuñ
zamāne kī nigāhoñ se bachā kar
unheñ dil meñ chhupānā chāhtā huuñ
maiñ un ko anjuman meñ Darte Darte
na jaane kyā sunānā chāhtā huuñ
na pūchho girya-e-paiham kā matlab
lagī dil kī bujhānā chāhtā huuñ
jahāñ duniyā-e-dil luTtī hai aksar
usī mahfil meñ jaanā chāhtā huuñ
sila ulfat ka pana chahta hun
tere dil mein samana chahta hun
zamane ki nigahon se bacha kar
unhen dil mein chhupana chahta hun
main un ko anjuman mein Darte Darte
na jaane kya sunana chahta hun
na puchho girya-e-paiham ka matlab
lagi dil ki bujhana chahta hun
jahan duniya-e-dil luTti hai aksar
usi mahfil mein jaana chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.