silsila chalta rahega mere dil ke baad bhi
silsila chaltā rahegā mere dil ke ba.ad bhī
jo nagar ujḌā hai ab thā ye kabhī ābād bhī
is qafas se is qadar apnī tabī.at ho ga.ī
chhoḌ kar jā.ūñ na hargiz vo kareñ āzād bhī
shab gazīda huuñ mujhe tāroñ kī chhāñv se hai Dar
dil kā ḳhuuñ karne chale aa.e haiñ terā zaad bhī
muddatoñ se koī sandesa na aane kī ḳhabar
ab unheñ shāyad hī aatī ho hamārī yaad bhī
chāñd bhī joban pe apne raat bhī mastī bharī
duur koī chheḌ de bansī pe ik fariyād bhī
kar diyā hālāt kī chakkī ne bhī 'shīrīñ' ko chor
aur kuchh hai ḳhud-ġharaz is daur kā 'farhād' bhī
naujavāñ ne talḳhī-e-hālāt se kī ḳhud-kushī
aur 'hasrat' aag meñ jhoñkī haiñ sab asnād bhī
silsila chalta rahega mere dil ke baad bhi
jo nagar ujDa hai ab tha ye kabhi aabaad bhi
is qafas se is qadar apni tabiat ho gai
chhoD kar jaun na hargiz wo karen aazad bhi
shab gazida hun mujhe taron ki chhanw se hai Dar
dil ka KHun karne chale aae hain tera zad bhi
muddaton se koi sandesa na aane ki KHabar
ab unhen shayad hi aati ho hamari yaad bhi
chand bhi joban pe apne raat bhi masti bhari
dur koi chheD de bansi pe ek fariyaad bhi
kar diya haalat ki chakki ne bhi 'shirin' ko chor
aur kuchh hai KHud-gharaz is daur ka 'farhad' bhi
naujawan ne talKHi-e-haalat se ki KHud-kushi
aur 'hasrat' aag mein jhonki hain sab asnad bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.