silsila jab teri baaton ka jawan hota hai
silsila jab tirī bātoñ kā javāñ hotā hai
tab har ik jām-ba-kaf jaane kahāñ hotā hai
uf re vo aah jo siine se nikal bhī na sake
haa.e vo dard jo āñkhoñ meñ nihāñ hotā hai
ḳhud-farebī hai thakan hai ki shikasta-pā.ī
har qadam par mujhe manzil kā gumāñ hotā hai
in kī nazroñ kā baḌhāvā hai vagarna ham se
hāl-e-dil kab kisī sūrat meñ bayāñ hotā hai
mahfil-e-ġhair meñ kyā ishq-o-vafā kī bāteñ
yaañ to ye zikr bhī zehnoñ pe girāñ hotā hai
silsila jab teri baaton ka jawan hota hai
tab har ek jam-ba-kaf jaane kahan hota hai
uf re wo aah jo sine se nikal bhi na sake
hae wo dard jo aankhon mein nihan hota hai
KHud-farebi hai thakan hai ki shikasta-pai
har qadam par mujhe manzil ka guman hota hai
in ki nazron ka baDhawa hai wagarna hum se
haal-e-dil kab kisi surat mein bayan hota hai
mahfil-e-ghair mein kya ishq-o-wafa ki baaten
yan to ye zikr bhi zehnon pe giran hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.