silsila rakhta hai dil se is tarah paiham koi
silsila rakhtā hai dil se is tarah paiham koī
merī āñkhoñ meñ sajātā hai na.e mausam koī
vo muḳhātab is tarah hotā hai mujh se ḳhvāb meñ
sub.h-dam jaise bikhere phuul par shabnam koī
dil kī manzil dūsrī hai zehn ke raste alag
is liye hotā nahīñ hai faisla bāham koī
dil kī barbādī pe aksar nauha-ḳhvāñ rahtī hai raat
roz kartā hai hamārī zaat meñ mātam koī
'anjum' us kī ungliyāñ ḳhvāboñ kī parchhā.īñ sī haiñ
band āñkhoñ par karūñ mahsūs maiñ resham koī
silsila rakhta hai dil se is tarah paiham koi
meri aankhon mein sajata hai nae mausam koi
wo muKHatab is tarah hota hai mujh se KHwab mein
subh-dam jaise bikhere phul par shabnam koi
dil ki manzil dusri hai zehn ke raste alag
is liye hota nahin hai faisla baham koi
dil ki barbaadi pe aksar nauha-KHwan rahti hai raat
roz karta hai hamari zat mein matam koi
'anjum' us ki ungliyan KHwabon ki parchhain si hain
band aankhon par karun mahsus main resham koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.