silsila sanson ka yun be-zabta ho jaega
silsila sāñsoñ kā yuuñ be-zābta ho jā.egā
raat din piinā hī jehd-e-lā-baqā ho jā.egā
juz-o-lā-yanfak rahe gar ziist ke karb-o-alam
merā apnā aap kuchh ho ain lā ho jā.egā
gar yūñhī īzā-kash-e-hālāt rahnā hī paḌā
kuchh kā kuchh sab aur jaane kyā se kyā ho jā.egā
ba.ad tere piiTh sūraj kī taraf karnī paḌī
ho na ho ab mujh se saaya bhī judā ho jā.egā
din-ba-din girte rahe aqdār to anjām-e-kār
kal ko jo kuchh nā-ravā thā sab ravā ho jā.egā
qāfile yādoñ ke yuuñ aate rahe to ek din
qatra qatra āñsuoñ kā be-hayā ho jā.egā
sirf ik jast-e-junūñ tak hai ye dasht īn-o-āñ
ba.ad is ke jo bhī khoTā hai kharā ho jā.egā
Duub jā.ūñgā kisī sāġhar meñ ik din merā kyā
jis kā jo kuchh bhī hai mujh par vo adā ho jā.egā
silsila sanson ka yun be-zabta ho jaega
raat din pina hi jehd-e-la-baqa ho jaega
juz-o-la-yanfak rahe gar zist ke karb-o-alam
mera apna aap kuchh ho ain la ho jaega
gar yunhi iza-kash-e-haalat rahna hi paDa
kuchh ka kuchh sab aur jaane kya se kya ho jaega
baad tere piTh suraj ki taraf karni paDi
ho na ho ab mujh se saya bhi juda ho jaega
din-ba-din girte rahe aqdar to anjam-e-kar
kal ko jo kuchh na-rawa tha sab rawa ho jaega
qafile yaadon ke yun aate rahe to ek din
qatra qatra aansuon ka be-haya ho jaega
sirf ek jast-e-junun tak hai ye dasht in-o-an
baad is ke jo bhi khoTa hai khara ho jaega
Dub jaunga kisi saghar mein ek din mera kya
jis ka jo kuchh bhi hai mujh par wo ada ho jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.