simaT raha hai wafa ka aanchal hisar-e-wahshat machal raha hai
simaT raha hai wafa ka aanchal hisar-e-wahshat machal raha hai
Pushp Raj yadav
MORE BYPushp Raj yadav
simaT rahā hai vafā kā āñchal hisār-e-vahshat machal rahā hai
ajiib an-honiyoñ ke Dar se hamārā siinā dahal rahā hai
ye dasht kāñToñ se phal rahā hai ye kaisā parvat uchhal rahā hai
zamīñ ki bārūd ho chukī hai falak ki sho.ala ugal rahā hai
ye mere apne ye mere shā.ir jo rafta rafta guzar rahe haiñ
ḳhudā kī āñkheñ michī huī haiñ nadī kā paanī ubal rahā hai
ye daur-e-hāzir kī be-hisī hai yā ik bagule kī shakl koī
jo mere chashme kī machhliyoñ ko ik ek kar ke nigal rahā hai
maiñ gāhe-gāhe qazā se aage qadam baḌhā.e guzar rahā huuñ
ki chūhā billī se tez-rau meñ ḳhudī se aage nikal rahā hai
vo jaise rañg-e-gulāl bhī ho vo jaise bāb-e-visāl bhī ho
vo ya.anī shā.ir kā ḳhvāb hai jo hamāre siine meñ pal rahā hai
simaT raha hai wafa ka aanchal hisar-e-wahshat machal raha hai
ajib an-honiyon ke Dar se hamara sina dahal raha hai
ye dasht kanTon se phal raha hai ye kaisa parwat uchhal raha hai
zamin ki barud ho chuki hai falak ki shoala ugal raha hai
ye mere apne ye mere shair jo rafta rafta guzar rahe hain
KHuda ki aankhen michi hui hain nadi ka pani ubal raha hai
ye daur-e-hazir ki be-hisi hai ya ek bagule ki shakl koi
jo mere chashme ki machhliyon ko ek ek kar ke nigal raha hai
main gahe-gahe qaza se aage qadam baDhae guzar raha hun
ki chuha billi se tez-rau mein KHudi se aage nikal raha hai
wo jaise rang-e-gulal bhi ho wo jaise bab-e-visal bhi ho
wo yani shair ka KHwab hai jo hamare sine mein pal raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.