Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

simaT rahi thi wahan raat paikar-e-jaan mein

Iqbal Mateen

simaT rahi thi wahan raat paikar-e-jaan mein

Iqbal Mateen

MORE BYIqbal Mateen

    simaT rahī thī vahāñ raat paikar-e-jāñ meñ

    'ajīb samāñ thā dayār-e-jānāñ meñ

    vo TikTikī na thī lafz jis se bol uThe

    koī sadā na thī ab to dasht-e-imkāñ meñ

    kahāñ gayā vo tire saath ta.alluq-e-jāñ

    ki sab añdhere the pinhāñ jabīn-e-tābāñ meñ

    hayāt-zār huī dekhte rahe ham bhī

    ki koī bhī to pashemāñ na thā dil-o-jāñ meñ

    maiñ terā raaz thā tere vujūd se pahle

    tirī to chhab bhī na thī jab dayār-e-ḳhūbāñ meñ

    maraz zarūr hai āshuftagī ne jaan liyā

    magar umiid nahīñ rah ga.ī thī darmāñ meñ

    vo tai-shuda thā jise pūchhne chale the 'matīn'

    nahīñ nahīñ meñ milā kuchh na us haañ haañ meñ

    simaT rahi thi wahan raat paikar-e-jaan mein

    'ajib hu ka saman tha dayar-e-jaanan mein

    wo TikTiki hi na thi lafz jis se bol uThe

    koi sada hi na thi ab to dasht-e-imkan mein

    kahan gaya wo tere sath ka talluq-e-jaan

    ki sab andhere the pinhan jabin-e-taban mein

    hayat-zar hui dekhte rahe hum bhi

    ki koi bhi to pasheman na tha dil-o-jaan mein

    main tera raaz tha tere wujud se pahle

    teri to chhab bhi na thi jab dayar-e-KHuban mein

    maraz zarur hai aashuftagi ne jaan liya

    magar umid nahin rah gai thi darman mein

    wo tai-shuda tha jise puchhne chale the 'matin'

    nahin nahin mein mila kuchh na us ki han han mein

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now