simTa sa ek qatra hun
simTā sā ik qatra huuñ
phail gayā to dariyā huuñ
saada saada kāġhaz par
jaane kyā kyā likhtā huuñ
mujh se ḳhatā bhī hotī hai
maiñ aadam kā beTā huuñ
sub.h se le kar shaam talak
pal do pal kā qissa huuñ
log Thaharne aate haiñ
kyā maiñ ḳhālī kamra huuñ
hosh kahāñ ki yaad rakhūñ
kaun huuñ kyā huuñ kaisā huuñ
TuuT gayā tab jaanā 'zafar'
maaTī kā ik putlā huuñ
simTa sa ek qatra hun
phail gaya to dariya hun
sada sada kaghaz par
jaane kya kya likhta hun
mujh se KHata bhi hoti hai
main aadam ka beTa hun
subh se le kar sham talak
pal do pal ka qissa hun
log Thaharne aate hain
kya main KHali kamra hun
hosh kahan ki yaad rakhun
kaun hun kya hun kaisa hun
TuT gaya tab jaana 'zafar'
maTi ka ek putla hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.