simTa to main zarra hun bikhra to main sahra hun
simTā to maiñ zarra huuñ bikhrā to maiñ sahrā huuñ
tham jā.ūñ to qatra huuñ bah jā.ūñ to dariyā huuñ
kyoñ tuur pe maiñ jā.ūñ kyoñ arsh pe maiñ jā.ūñ
us kā hī to partav huuñ maiñ us ke sivā kyā huuñ
kyā koī sharīk-e-ġham hogā mirā duniyā meñ
vo arsh pe tanhā hai maiñ farsh pe tanhā huuñ
sūraj se shuā.eñ kab hotī haiñ judā us se
vo nuur kā mamba.a hai maiñ nuur kā dariyā huuñ
samjhūñ to agar ḳhud ko ban jā.ūñ mah-e-kāmil
maanā ki falak se maiñ TuuTā huā taarā huuñ
kyā koī mujhe samjhe kyā koī mujhe jaane
bikhrā huā jalva huuñ simTā huā pardā huuñ
kyoñ mujh ko chaḌhāte haiñ vo daar pe ‘rūmānī’
maiñ ḳhaak ke parde meñ us kā hī to jalva huuñ
simTa to main zarra hun bikhra to main sahra hun
tham jaun to qatra hun bah jaun to dariya hun
kyon tur pe main jaun kyon arsh pe main jaun
us ka hi to partaw hun main us ke siwa kya hun
kya koi sharik-e-gham hoga mera duniya mein
wo arsh pe tanha hai main farsh pe tanha hun
suraj se shuaen kab hoti hain juda us se
wo nur ka mamba hai main nur ka dariya hun
samjhun to agar KHud ko ban jaun mah-e-kaamil
mana ki falak se main TuTa hua tara hun
kya koi mujhe samjhe kya koi mujhe jaane
bikhra hua jalwa hun simTa hua parda hun
kyon mujh ko chaDhate hain wo dar pe ‘rumani’
main KHak ke parde mein us ka hi to jalwa hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.