simTe hain KHud mein aise ki wusat nahin rahi
simTe haiñ ḳhud meñ aise ki vus.at nahīñ rahī
tasḳhīr-e-kā.enāt kī himmat nahīñ rahī
ab ke ḳhizāñ ke ḳhauf se patte nahīñ jhaḌe
shāyad havā ke dil meñ kudūrat nahīñ rahī
maiñ ne kahā ki koī ho ḳhidmat mire huzūr
us ne kahā ki terī zarūrat nahīñ rahī
jakḌā huā huuñ vaqt kī ākās-bel meñ
is karb se farār kī sūrat nahīñ rahī
chehroñ kī bāzyāft se maiñ thak gayā safī'
aur ḳhuun meñ bhī pahlī harārat nahīñ rahī
simTe hain KHud mein aise ki wusat nahin rahi
tasKHir-e-kaenat ki himmat nahin rahi
ab ke KHizan ke KHauf se patte nahin jhaDe
shayad hawa ke dil mein kudurat nahin rahi
main ne kaha ki koi ho KHidmat mere huzur
us ne kaha ki teri zarurat nahin rahi
jakDa hua hun waqt ki aakas-bel mein
is karb se farar ki surat nahin rahi
chehron ki bazyaft se main thak gaya safi'
aur KHun mein bhi pahli hararat nahin rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.