simTi hui ye ghaDiyan phir se na bikhar jaen
simTī huī ye ghaḌiyāñ phir se na bikhar jaa.eñ
is raat meñ jī le ham is raat meñ mar jaa.eñ
ab sub.h na aa paa.e aao ye duā māñgeñ
is raat ke har pal se rāteñ hī ubhar jaa.eñ
duniyā kī nigāheñ ab ham tak na pahuñch paa.eñ
tāroñ meñ baseñ chal kar dhartī meñ utar jaa.eñ
hālāt ke tīroñ se chhalnī haiñ badan apne
paas aao ki sīnoñ ke kuchh zaḳhm to bhar jaa.eñ
aage bhī añdherā hai pīchhe bhī añdherā hai
apnī haiñ vahī sāñseñ jo saath guzar jaa.eñ
bichhḌī huī rūhoñ kā ye mail suhāna hai
is mail kā kuchh ehsāñ jismoñ pe bhī kar jaa.eñ
tarse hue jazboñ ko ab aur na tarsāo
tum shāne pe sar rakh do ham bāhoñ meñ bhar jaa.eñ
simTi hui ye ghaDiyan phir se na bikhar jaen
is raat mein ji le hum is raat mein mar jaen
ab subh na aa pae aao ye dua mangen
is raat ke har pal se raaten hi ubhar jaen
duniya ki nigahen ab hum tak na pahunch paen
taron mein basen chal kar dharti mein utar jaen
haalat ke tiron se chhalni hain badan apne
pas aao ki sinon ke kuchh zaKHm to bhar jaen
aage bhi andhera hai pichhe bhi andhera hai
apni hain wahi sansen jo sath guzar jaen
bichhDi hui ruhon ka ye mail suhana hai
is mail ka kuchh ehsan jismon pe bhi kar jaen
tarse hue jazbon ko ab aur na tarsao
tum shane pe sar rakh do hum bahon mein bhar jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.