Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

simTun kahan se sath pe dariya rawan nahin

Khumar Qureshi

simTun kahan se sath pe dariya rawan nahin

Khumar Qureshi

MORE BYKhumar Qureshi

    simTūñ kahāñ se sat.h pe dariyā ravāñ nahīñ

    uThtā kahāñ se mauj meñ tāb-o-tavāñ nahīñ

    thamtā nafas nafas ke ishāre qadam qadam

    dauḌūñ maiñ kaise paañv meñ reg-e-ravāñ nahīñ

    pursān-e-shab sitāre nahīñ haiñ sar-e-falak

    shorīda-sar ḳhalāoñ bharā āsmāñ nahīñ

    ik ranj-e-be-kanār tamavvuj-talab kahāñ

    ik lutf-e-be-bahā sar-e-dāman girāñ nahīñ

    kyā kahiye lams-hā-e-ḳharābī intishār

    nazroñ meñ ab zamīn nahīñ āsmāñ nahīñ

    'ālam pe laḳht laḳht paḌe raushnī bojh

    āvāra-pā bhī shākī-e-zulmat-fashāñ nahīñ

    phir dasht-e-lā-makāñ meñ sadā-e-jaras kahāñ

    phir musht-e-ḳhāk lā.eq-e-sad-imtihāñ nahīñ

    simTun kahan se sath pe dariya rawan nahin

    uThta kahan se mauj mein tab-o-tawan nahin

    thamta nafas nafas ke ishaare qadam qadam

    dauDun main kaise panw mein reg-e-rawan nahin

    pursan-e-shab sitare nahin hain sar-e-falak

    shorida-sar KHalaon bhara aasman nahin

    ek ranj-e-be-kanar tamawwuj-talab kahan

    ek lutf-e-be-baha sar-e-daman giran nahin

    kya kahiye lams-ha-e-KHarabi ka intishaar

    nazron mein ab zamin nahin aasman nahin

    'alam pe laKHt laKHt paDe raushni ka bojh

    aawara-pa bhi shaki-e-zulmat-fashan nahin

    phir dasht-e-la-makan mein sada-e-jaras kahan

    phir musht-e-KHak laeq-e-sad-imtihan nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now