sirf ahd-e-wafa nahin baqi
sirf ahd-e-vafā nahīñ baaqī
varna duniyā meñ kyā nahīñ baaqī
kitnā marhūm-e-ārzū hogā
jo ye kah de ḳhudā nahīñ baaqī
merā sajda bhī ho alī kī tarah
kyā kareñ hausla nahīñ baaqī
un se milne ko roz miltā huuñ
iltifāt-e-vafā nahīñ baaqī
vo mujhe mehrbāñ se lagte haiñ
jaise koī sazā nahīñ baaqī
sab ke hāthoñ meñ aaj kaasa hai
ab kisī meñ anā nahīñ baaqī
sirf ahd-e-wafa nahin baqi
warna duniya mein kya nahin baqi
kitna marhum-e-arzu hoga
jo ye kah de KHuda nahin baqi
mera sajda bhi ho ali ki tarah
kya karen hausla nahin baqi
un se milne ko roz milta hun
iltifat-e-wafa nahin baqi
wo mujhe mehrban se lagte hain
jaise koi saza nahin baqi
sab ke hathon mein aaj kasa hai
ab kisi mein ana nahin baqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.