sirf apne talak hi rakha jaega
sirf apne talak hī rakhā jā.egā
dukh ko sanjīdgī se liyā jā.egā
ba.ad meñ ghar kā paanī ulīcheñge ham
pahle tuġhyāniyoñ se laḌā jā.egā
jald us paar pahuñcheñge ham bhī agar
naav meñ ek hī nāḳhudā jā.egā
aaj mahfil meñ aa.e haiñ chup zaat log
is kā matlab bahut kuchh kahā jā.egā
an-sunā kar rahā hai zamāna hameñ
ḳhāmushī meñ izāfa kiyā jā.egā
sirf apne talak hi rakha jaega
dukh ko sanjidgi se liya jaega
baad mein ghar ka pani ulichenge hum
pahle tughyaniyon se laDa jaega
jald us par pahunchenge hum bhi agar
naw mein ek hi naKHuda jaega
aaj mahfil mein aae hain chup zat log
is ka matlab bahut kuchh kaha jaega
an-suna kar raha hai zamana hamein
KHamushi mein izafa kiya jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.