sirf baaton se hukumat nahin ki ja sakti
sirf baaton se hukumat nahin ki ja sakti
Rahi Hameedi Chand Puri
MORE BYRahi Hameedi Chand Puri
sirf bātoñ se hukūmat nahīñ kī jā saktī
ḳhālī jeboñ se tijārat nahīñ kī jā saktī
ham buzurgoñ ke asāse ke muhāfiz haiñ miyāñ
ham se is shahr se hijrat nahīñ kī jā saktī
aur jo chāhe kiyā jaa.e magar duniyā meñ
apne bachchoñ se baġhāvat nahīñ kī jā saktī
apnī nasloñ kā tahaffuz bhī nazar meñ rakhiye
had se baḌh kar bhī saḳhāvat nahīñ kī jā saktī
ham buzurgoñ kī vaz.a-dārī ke qaa.il haiñ abhī
ham se yuuñ tark-e-sharāfat nahīñ kī jā saktī
hai tahaffuz meñ husain ibn-e-alī kā saaya
ab yazīdoñ kī itā.at nahīñ kī jā saktī
sirf baaton se hukumat nahin ki ja sakti
KHali jebon se tijarat nahin ki ja sakti
hum buzurgon ke asase ke muhafiz hain miyan
hum se is shahr se hijrat nahin ki ja sakti
aur jo chahe kiya jae magar duniya mein
apne bachchon se baghawat nahin ki ja sakti
apni naslon ka tahaffuz bhi nazar mein rakhiye
had se baDh kar bhi saKHawat nahin ki ja sakti
hum buzurgon ki waza-dari ke qail hain abhi
hum se yun tark-e-sharafat nahin ki ja sakti
hai tahaffuz mein husain ibn-e-ali ka saya
ab yazidon ki itaat nahin ki ja sakti
- Book : سائبان غزل (Pg. 49)
- Author : راہی حمیدی
- Publication : انجمن درس ادب،چاندپور (2011)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.