sirf bachche hi nahin shor machane aate
sirf bachche hī nahīñ shor machāne aate
sair karne yahāñ bīmār bhī aa jaate haiñ
dil bhī ho jaatā hai ḳhush apnā tamāshā kar ke
aur nibhāne hameñ kirdār bhī aa jaate haiñ
kis qadar dukh hai tumheñ dil ke ujaḌ jaane kā
ishq meñ kaam to ghar-bār bhī aa jaate haiñ
ham bhī aa jaate haiñ bāzār meñ āñkheñ le kar
shaam hote hī ḳharīdār bhī aa jaate haiñ
sirf bachche hi nahin shor machane aate
sair karne yahan bimar bhi aa jate hain
dil bhi ho jata hai KHush apna tamasha kar ke
aur nibhane hamein kirdar bhi aa jate hain
kis qadar dukh hai tumhein dil ke ujaD jaane ka
ishq mein kaam to ghar-bar bhi aa jate hain
hum bhi aa jate hain bazar mein aankhen le kar
sham hote hi KHaridar bhi aa jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.