sirf itna qusur-war hun main
sirf itnā qusūr-vār huuñ maiñ
chāhtā tujh ko be-shumār huuñ maiñ
jo mohabbat thī vo adā kar dī
terī nafrat kā qarz-dār huuñ maiñ
kuchh ḳhatā hai mirī na koī gunāh
tañg-nazarī kā bas shikār huuñ maiñ
hādse merā kyā bigāḌeñge
maañ kī āñkhoñ kā intizār huuñ maiñ
manzileñ ruuh tai karegī ḳhud
kashtī-e-jism par savār huuñ maiñ
sirf itna qusur-war hun main
chahta tujh ko be-shumar hun main
jo mohabbat thi wo ada kar di
teri nafrat ka qarz-dar hun main
kuchh KHata hai meri na koi gunah
tang-nazari ka bas shikar hun main
hadse mera kya bigaDenge
man ki aankhon ka intizar hun main
manzilen ruh tai karegi KHud
kashti-e-jism par sawar hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.