sirf itne mein hi ho jata guzara mera
sirf itne meñ hī ho jaatā guzārā merā
pūchh letā vo agar haal dobāra merā
is se andāza lagā lo ki vo ḳhud kyā hogā
jis kī Thokar se chamaktā thā sitāra merā
ḳhair aur shar meñ tavāzun hī nahīñ rakh saktā
kaun samjhegā mirī jaan ḳhasārā merā
kyā zarūrī hai ki ham ek zabāñ bolte hoñ
ishq kartā hai to samjhegā ishāra merā
maiñ vo dariyā jo samundar meñ alag bahtā hai
paanī hotā hī nahīñ hai kabhī khārā merā
jab vo laḌtī thī to punjabi zabāñ boltī thī
ḳhud-baḳhud nīche chalā aatā thā paara merā
tum ne chhoḌā hai to maiñ chāhe jahāñ bhī jā.ūñ
jhagḌā bantā hī nahīñ ab to tumhārā merā
sirf itne mein hi ho jata guzara mera
puchh leta wo agar haal dobara mera
is se andaza laga lo ki wo KHud kya hoga
jis ki Thokar se chamakta tha sitara mera
KHair aur shar mein tawazun hi nahin rakh sakta
kaun samjhega meri jaan KHasara mera
kya zaruri hai ki hum ek zaban bolte hon
ishq karta hai to samjhega ishaara mera
main wo dariya jo samundar mein alag bahta hai
pani hota hi nahin hai kabhi khaara mera
jab wo laDti thi to punjabi zaban bolti thi
KHud-baKHud niche chala aata tha para mera
tum ne chhoDa hai to main chahe jahan bhi jaun
jhagDa banta hi nahin ab to tumhaara mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.